“Poetry SMS” - Text Messages in Urdu, English And Hindi Category

Poetry SMS, Poetry SMS Urdu, Poetry SMS of Faraz, Poetry SMS for Mobile, Poetry SMS Collection

Poetry SMS Messages is a way to share your poetry experience with your friends. Send as many SMS Messages as you want.

You can use these keywords to search:

Poetry SMS, Poetry SMS Urdu, Poetry SMS of Faraz, Poetry SMS for Mobile, Poetry SMS Collection.

Comments No Comments »

Agar Woh Piyaar Kar Laita,

Mera Daaman Pakar Laita,

Tau

Jeewan Main Faqat Uss Say, “Muhabbat” Faraz Ho Jati.

“Muhabbat” Karz Ho Jati!

Magar Acha Kiya Uss Nay!

Mujhay Samjha Kay Chal Nikla.

Mujhay Thukra Kay Chal Nikla.

Bohot Nadaan Sa Hai Woh,

Abhi Anjaan Sa Hai Woh,

Kahaan Maloom Hai Uss Ko,

“Muhabbat” Zindagi Main Bas Faqat Ek Baar Milti Hai…

Comments No Comments »

Sadiyon Say Jagi, Aankhon Ko,

Ek Baar Sulanay Aa Jao.

Mana Kay Tum Ko Piyaar Nahiin,

Nafrat Hi Jatanay Aa Jao.

Jiss Maur Pay Hum Ko Choor Gaye,

Hum Baithay Ab Tak Soch Rahay,

Kiya Bhool Hue, Kiyoun Juda Huay.

Bas Yeh Samjhanay Aa Jao.

Har Lamha Teri Furqat Main,

Hum Tarap Rahay, Hum Taras Rahay,

Meri “MANO” Tum Iss Dil Ko,

Kuch Pal Behlanay Aa Jao.

Comments No Comments »

Hum Chor Dain Gay Tum Say Youn Baat Cheet Karna,

Tum Pochtay Phiro Gay Apna Qasoor Humsay,

Hum Cheen Lain Gay Tum Say Yeh Ada E Beniazi,

Tum Mangtay Phiro Gay Apna Garor Humsay.

Comments No Comments »

Tumhain Paa Kay Khona, Meray Bas Main Nahiin,

Abb Koi Aur Zakham Pirona, Meray Bas Main Nahiin,

Ek Umar Tak Dhoya Hai Dil Kay Daghoon Ko,

Ab Yeh Dagh Dhona, Meray Bas Main Nahiin.

Teray Baad Nazar Aati Nahiin Mujhay Ab Aur Koi Manzil,

“Kisi Aur Ka Hona, Ab Meray Bas Main Nahiin”.

Comments No Comments »

Ek Khushboo Gulab Kay Saath,

Thori Si Hansi Har Baat Kay Saath.

Ek Yaad Mulaqat Kay Saath,

Naya Mausam Thori Si Barsaat Kay Saath.

Hamaisha Khush Raho,

Meri “DUA” Kay Saath.

Comments 1 Comment »

“Dil”
Kay Laboon Pay
Ek
“Dua”
Rahti Hai.

Har Ghari
Mujhay
Aap Ki Parwah
Rahti Hai.

Khuda
Har Sukh
Zindagi Ka
Atta Karay Aap Ko.

Har Dua Main Meri
Yeh Iltija
Rahti Hai.

Comments No Comments »

Meri Zindagi Mujhay Yeh Bata,

Mujhay Bhool Kar Tujhay Kya Mila.

Meri Hasratoon Ka Hisaab Day,

Dil Toor Kar Tujhay Kya Mila.

Teray 4 Din Kay Pyaar Say Mujhay,

Umar Bhar Ka Gham Mila.

Main Toot Kar Bikhar Gaya,

Mujhay Toor Kar Tujhay Kya Mila.

Comments No Comments »

Teri Mushkil Na Barhaoun Ga, Chala Jaon Ga.

Ashk Aankhon Main Chupaon Ga, Chala Jaon Ga.

Muddaton Baad Main Aya Hoon Puranay Ghar Main.

Khud Ko Jee Bhar Kay Rulaon Ga, Chala Jaon Ga.

Un Mahallat Say Kuch Bhi Nahin Laina Mujh Ko,

Bas Tumhain Daikhoon Ga, Chala Jaon Ga.

Chand Batain Mujhay Bachoon Ki Tarhaaan Piyari Hain,

Unko Seenay Say Lagaon Ga, Chala Jaon Ga.

Apni Dehleez Pay Kuch Dair Para Rahnay Doo,

Jaisay Hee Hosh Main Aaon Ga, Chala Jaon Ga.

Comments No Comments »

Mat Poch meray Sabar Ki Inteha Kahaan Tak Hai,

Tau Sitam Kar Lay Teri Sakat Jahaan Tak Hai,

Wafa Ki Umeed Kissi Aur Ko Hogi,

Hamain Tau Daikhna Hai Tau Bewafaa Kahaan Tak Hai.

Comments No Comments »